khaDe ho aaj jis tahzib ke unche manare par
sajaya hai use shayad hamein badnam logon ne
jidhar se chal ke tum pahunche ho in zarrin manazil tak
dikhai hai tumhein wo rah hum nakaam logon ne
tumhaari bazm zehn-o-fikr ki aaraishen ki hain
hum aise hi asir-e-gul asir-e-jam logon ne
tumhaare jada-e-gul-rang ki ye ahmarin shamen
jalai hain hum aise hi asir-e-dam logon ne
kisi andaz se lekin tumhein pahuncha diya hoga
nai duniya nae insan ka ye paigham logon ne
ki aksar apne hi taKHil ke KHush-rang phulon ko
masal kar phenk Dala hai ba-waqt-e-sham logon ne
biTha kar mabad-e-zarrin mein KHud nurin KHudaon ko
kiya hai kis tarah KHud hi unhen nakaam logon ne
hasin tabir do ya tum hamare KHwab lauTa do
hamari marifat bheja hai ye paigham logon ne
Nazm
Awam
Salam Machhli shahri