tumhaare nam ke nuqte ye KHub-ru nuqte
banae hain jo tumhaare qalam ne kaghaz par
hasin aaankhon se
takte hain is tarah mujh ko
ki jaise dhund bhare KHwab ke jazire mein
saloni sanwli yaadon ka husn larzan ho
tumhaara nam hai
harf-o-sada ki lahron mein
ubharti Dubti parchhaiyon ka aks-e-jamil
sulag ke jhank rahi hain pighalte manzar se
tumhaare nam ke nuqton ki
dil-nashin aankhen
ki jaise mere taKHayyul ke taza chehre par
siyah rang ghilafon se jhuk ke
saya karen
tumhaari gahri dil-awez sharmgin aankhen
Nazm
Autograph
Prem Warbartani