wo shanon pe zarkar aanchal uchhaale
idhar se udhar mast zulfon ko Dale
miyan aur bachche KHuda ke hawale
hasin hath mein narm file sambhaale
kis andaz se naz farma rahi hai
ki jaise chaman mein bahaar aa rahi hai
mabahis mein yun garm-guftar hain sab
ki bas laDne-marne ko tayyar hain sab
fusun-kar hain sab tarah-dar hain sab
barabar barabar ki sarkar hain sab
idhar asghari bhaDak gai akbari se
idhar tifl rone lage gallery se
speechn mein goTe-kanari ki baaten
baho ki kifayat-shiari ki baaten
paDosan ki parhez-gari ki baaten
gharaz har biyahi kunwari ki baaten
rawan hain hujum-e-tajalli ke dhaare
ye aanchal sameTe wo gesu sanware
dam-e-guftugu koi jite na haare
sitaron se Takra rahe hain sitare
bua ko to dekho na gahna na pata
bajaT hath mein jaise dhobin ka khata
ba-andaz-e-ghaiz-o-ghazab bolti hain
ba-awaz-e-shor-o-shaghab bolti hain
nahin bolti hain to kab bolti hain
ye jab bolti hain to sab bolti hain
man apne KHwabon mein gum ho gai hain
abhi jagti thin abhi so gai hain
Nazm
Auraton ki assembly
Syed Zameer Jafri