mujassam ishwa-o-andaz bhi hai
magar aurat jahan-e-raaz bhi hai
sitam-araiyan taslim lekin
nihayat muKHlis-o-dam-saz bhi hai
shakt-e-arzu ki baat kaisi
hujum-e-arzu ka raaz bhi hai
agar kotah-nazari ho na hail
to shayad markaz-e-parwaz bhi hai
kahin afsana-e-ishq-o-mohabbat
kahin rudad-e-soz-o-saz bhi hai
yahi taqdis-e-maryam zabt-e-sita
yahi ayyar-o-shahid-baz bhi hai
isi se raunaq-e-har-anjuman bhi
yahi har fitne ka aaghaz bhi hai
yahi ganjina-e-zauq-e-nihani
mashiyyat ka yahi eajaz bhi hai
jahan hai sar-ba-sajda ishq ab tak
yahi wo bargah-e-naz bhi hai
faza-e-al-jazair jis pe qurban
ek aisi pur-asar aawaz bhi hai
gharz aurat jahan-e-ab-o-gil mein
zamana bhi zamana-saz bhi hai
Nazm
Aurat
Shaukat Pardesi