اردو हिंदी
Aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya | Shaahi Shayari
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

Nazm

Aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

Sahir Ludhianvi

;

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya

tulti hai kahin dinaron mein bikti hai kahin bazaron mein
nangi nachwai jati hai ayyashon ke darbaron mein

ye wo be-izzat chiz hai jo baT jati hai izzat-daron mein
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

mardon ke liye har zulm rawa aurat ke liye rona bhi KHata
mardon ke liye har aish ka haq aurat ke liye jina bhi saza

mardon ke liye lakhon sejen, aurat ke liye bas ek chita
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya

jin sinon ne in ko dudh diya un sinon ko bewpar kiya
jis kokh mein in ka jism Dhala us kokh ka karobar kiya

jis tan se uge konpal ban kar us tan ko zalil-o-KHwar kiya
sansar ki har ek be-sharmi ghurbat ki god mein palti hai

chaklon hi mein aa kar rukti hai faqon se jo rah nikalti hai
mardon ki hawas hai jo aksar aurat ke pap mein Dhalti hai

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya
aurat sansar ki qismat hai phir bhi taqdir ki heTi hai

autar payambar jannati hai phir bhi shaitan ki beTi hai
ye wo bad-qismat man hai jo beTon ki sej pe leTi hai

aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya