tu prem mandir ki pak dewi tu husn ki mamlikat ki rani
hayat-e-insan ki qismaton par teri nigahon ki hukmarani
jahan-e-ulfat teri qalam-rau harim-e-dil teri rajdhani
bahaar-e-fitrat tere lab-e-lal-gun ki doshiza muskurahaT
nizam-e-kaunain teri aankhon ke surKH Doron ki thartharahaT
farogh-e-sad-kaenat teri jabin simin ki zau-fishani
bhaDakte sinon mein bas rahi hain qarar ban kar teri adaen
tarasti ruhon ko jam-e-ishrat pila rahi hain teri wafaen
rag-e-jahan mein thirak rahi hai sharab ban kar teri jawani
dimagh-e-parwar-digar mein jo azal ke din se machal raha tha
zaban-e-taKHliq-e-dahr se bhi na jis ka izhaar ho saka tha
numud teri usi muqaddas hasin taKHayyul ki tarjumani
hai wadi-e-nil par tera abr-e-zulf saya-kunan abhi tak
hain jam-e-iran ki mai mein tere labon ki shiriniyan abhi tak
fasana-go hai teri abhi tak hadis-e-yunan ki KHun-chakani'
hai teri ulfat ke rag par mauj-e-rud-e-ganga ko wajd ab tak
teri mohabbat ki aag mein jal raha hai sahra-e-najd ab tak
jamal-e-zahra tere malaek fareb jalwon ki ek nishani
teri nigahon ke sahar se gul-fishan hai sher o adab ki duniya
tere tabassum ke kaif se hai ye gham ki duniya tarab ki duniya
tere labon ki miThas se shakkarin hai zahrab-e-zindagani
tera tabassum kali kali mein tera tarannum chaman chaman mein
rumuz-e-hasti ke pech-o-KHam tere gesuon ki shikan shikan mein
kitab-e-tariKH-e-zindagi ke waraq waraq par teri kahani
jo tu na hoti to yun daraKHshanda sham-e-bazm-e-jahan na hoti
wajud-e-arz-o-sama na hota numud-e-kaun-o-makan na hoti
bashar ki mahdudiyat ki KHatir tarasti aalam ki be-karani
Nazm
Aurat
Majeed Amjad