jaane kya baat hai kyun nind nahin aati hai
raat bojhal hai sitaron ki nazar baiThi hui
shab ke KHamosh manazir hain ajab KHauf-zada
be-aman jaane kise DhunDhne ki zid mein abas
dur ufaq par kahin dur nikal jati hai
subh uThti hai to bachpan ki umangen le kar
aaj aaega koi raat gai baat gai
din guzarta hai kisi aas ke pahlu mein rawan
KHalwaten mahfil-e-rangin mein Dhal jati hain
aahen naghmon ki sadaon mein nikhar jati hain
sham lau deti hui yas ki ranai mein
kaun aata hai KHayalon ke siwa is ghar mein
kis ko aana hai yahan kaun yahan aaega
sham se baat banate hue din ka Dhalna
raat ka sham se rangin kahani sunna
raat ki nind se hoti hui chima-goi
paikar-e-nind ka TuTa hua alsaya badan
rose hota hai yun hi muddaten guzrin lekin
kash aisa ho kabhi nind na karwaT badle
aur tum dastaken dete raho hum aae hain
Nazm
Aur tum dastaken dete raho
Moni Gopal Tapish