aur phir chand nikalta hai
aur phir sara shahr simaT kar tere ghar ka aangan ban jata hai
aur sham se pahle so jaane wale bachche jag uThte hain
aur main tere sath na jaane kis kis ghar mein jata hun
kin kin logon se milta hun
aur tu sath nahin hota hai
aur mein tanha hi rahta hun
aur yun pichhli raat ka pila chand meri dahliz pe kachcha sona bikhraata hai
bhule-bisre chehre aankhen malte uThte hain
aur main ThanDe darwaze se lag kar so jata hun
agle din main kho jata hun
aur phir chand nikalta hai
aur phir sara shahr simaT kar tere ghar ka aangan ban jata hai
aur phir main so jata hun
Nazm
Aur phir chand nikalta hai
Mohammad Anvar Khalid