aur pani Thahar gaya aankhon mein chehra siyah hua
aur aankhen phail gain
aur aankhen phail gain aankhon mein hona gunah hua
us din sare likhne wale ghar aae aur luT gae
aur sab ki aankhen Thahar gain aur sab ka chehra phail gaya
mahi-giron ne us din be-andaza jal bune
aur bachche bhuke hi soe
aur maen bistar ban kise chup leT gain
aur jab mahi-giron ki basti mein raat aai
sab jal sameTe ghar aae aur lauT gae
aur sab ki aankhen Thahar gain aur sab ka chehra phail gaya
ye raat samundar par se ho kar aai thi
so beach samundar Thahar gai
us raat ki jis ne baat likhi wo ghar na gaya
wo beach samundar Thahar gaya
wo miTTi ki zanjiron se aazad hua
so aane wala kal jo nahin hai us ka hai
jab barf saron par aaegi tum jagoge
aur pichhle uni moze kaam na denge
aur shaalen sarsar khulti jaengi
aur biwiyan Dar kar uThengi
ai pichhli rut ke chalne wale luT chalo
murde mardon ko KHud dafn karenge
jab bache shaKHon par palte hon barish ka kya KHauf
han barish sagar ka pahla harkara hai
aur kilon ki ye joDi laDke kal tak sath na degi
wo aankhen miche hansti hai aur soti hai
laDke jaldi ghar aa jaana
pani Thahar gaya hai
aur laDka ghar na gaya
wo laDka ghar na gaya
aur dekhne walon ne dekha
wo barf ke tude khinchta tha aur rota tha
aur ghar pani ke beach jhakole khata tha
pani jo Thahar gaya
Nazm
Aur pani Thahar gaya
Mohammad Anvar Khalid