aao aa jao qarib aao
ki kuchh baat bane
itni duri hai ki aawaz pahunchti hi nahin
main kisi ghair zaban ke alfaz
apne ashaar mein shamil to nahin karta hun
dukh to is baat ka hai tum ye samajhte hi nahin
mere sine mein machalta hai
tumhaara dukh bhi
mere alfaz mein shamil hai tumhaari aawaz
mere jazbaat mein KHufta hain
tumhaare jazbaat
main jo ad par hun to bas ek hi maqsad hai mera
farsh se arsh ka kuchh rabta baqi to rahe
main hun jis zine pe
tum us pe nahin aa sakte
aur main niche bahut niche nahin ja sakta
ye tafawut to azal hi se hai qaem
lekin
tum kabhi itne garan gosh na the
siDhiyan jitni bhi upar jaen
panw to un ke zamin se hi lage rahte hain
ek zara qurb-e-samaat ke liye
kitne hi zine main utra hun tumhaari KHatir
jhaD kar apne band ki miTTi
chand zine hi sahi
tum bhi to upar aao
aur niche na utaro mere samea mujh ko
Nazm
Aur niche na utar o mere samea mujhko
Zaheer Siddiqui