mere hathon se meri chita ban gai
mere kandhon pe mera janaza uTha
nok-e-mizhgan se qirtas-ayyam par
mere KHun se mera nam likkha gaya
aur main chup raha
mere bazar kuche mere baam-o-dar
meri nadariyon se sajae gae
mere afkar meri mata-e-hunar
meri mahrumiyon se basae gae
aur main chup raha
meri taqdir ka jo bhi KHaka bana
pile mausam ke patton pe likkha gaya
meri taswir mujh se chhupai gai
mujh ko nadida KHwabon mein dekha gaya
aur main chup raha
mere alfaz mani ki talwar se
sar-burida hue gungunate rahe
mere naghme gadaon mein banTe gae
barguzida hue gungunate rahe
aur main chup raha
mujh se meri tamanna ke gul chhin kar
zard mausam ne jashn-e-bahaaran kiya
barf mere nasheman pe aa ke giri
dhup nikli to is ko hirasan kiya
aur main chup raha
mere sarsabz jangal ujaDe gae
meri jhilon mein ajgar basae gae
koh-e-maran ki taqdis luTi gai
be-hisi ke maqabir sajae gae
aur main chup raha
Nazm
Aur main chup raha
Farooq Nazki