wahi kaenat ki phailti hui zulmaten
wahi surajon ki hai bebasi
yahi ek manzar-e-ruu-ba-ru
mere shash jihat ki dastan
mujhe lamha lamha nigal raha hai
magar kahin
meri KHwab raat ke aasman pe koi haala-e-nur hai
jo azal se ta-ba-abad faza-e-fana mein darj hai aisi satr dawam ki
jise masjidon ke ujaD taq taras gae
jise DhunDte kai din mahine baras gae
Nazm
Aur diya jalta hai KHwab mein
Saeed Ahmad