اردو हिंदी
August-1952 | Shaahi Shayari
august-1952

Nazm

August-1952

Faiz Ahmad Faiz

;

raushan kahin bahaar ke imkan hue to hain
gulshan mein chaak chand gareban hue to hain

ab bhi KHizan ka raj hai lekin kahin kahin
goshe rah-e-chaman mein ghazal-KHwan hue to hain

Thahri hui hai shab ki siyahi wahin magar
kuch kuchh sahar ke rang par-afshan hue to hain

in mein lahu jala ho hamara ki jaan o dil
mahfil mein kuchh charagh farozan hue to hain

han kaj karo kulah ki sab kuchh luTa ke hum
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran hue to hain

ahl-e-qafas ki subh-e-chaman mein khulegi aankh
baad-e-saba se wada-o-paiman hue to hain

hai dasht ab bhi dasht magar KHun-e-pa se 'faiz'
sairab chand KHar-e-mughilan hue to hain