mera sar tum apne hi zanu pe rakh kar
mujhe puchhti ho!
ki mein kaun hun
kya hun, kaise hun?
sare sawalon ko muTThi mein rakh kar
zara meri ek baat san lo
suno! ye tumhaare badan ka KHumar-ashna kaif narm o musalsal
mujhe lazzaton ke umuq mein liye ja raha hai
main pal pal kabhi
lahza lahza kabhi
dhire dhire kabhi
lamha lamha kabhi
ek dariya ke phailaw mein Dubta ja raha hun
sharabor tufan mein tund lahron ki surat
nashile samay
ek aahang ke sath hachkole khata hua
main kisi soch ki rau mein bahta chala ja raha hun
mera dil, meri jaan:
donon hi mausum hain, us tamawwuj se
jo meri nas nas mein paiham machalta hua
KHun ke zer-o-bam ki kahani sunata hua
bah raha hai
ki jis ke har ek lams ki
lazzaton, zaiqon mein
tumhaara koi KHwab hai
jaise mahtab hai
tum to mere badan ka koi para-e-KHak ho
tum koi ghair ho?
meri ham-zad!
hum kashti-e-zist ke baadban ki tanaben hain do
ek tum, ek main
jin ka mohtaj hai baadban-e-nafas
ye zamin, ye zaman
mere hi ahd ki dastan
hum se aabaad daem bisat-e-jahan
apne aangan ki phulon-bhari kiyariyan
Nazm
ATuT ang
Azhar Ghauri