mera gham mo'atabar tha
takalluf ki qaba noch kar jis ne
masum rang-e-atshin bhara tha
taKHliq ke band jazbon ko
aKHlaq ke hathon par dhara tha
zindagi jis ke liye
dar thi
ku-e-dildar bhi
ruh ki tafsir bhi
rang-e-hina ki tanwir bhi
bardasht jis ne ki
aarzuon ki tazhik bhi
muqaddas jazbaat ki tazlil bhi
labon par jis ke
kitne etaraazat the
nihan jis ke dil mein
kitne etaraazat the
kuchh sutur
kuchh sutur ke darmiyan bhi tha
kahin tahrik
kahin Thahraw ka saman bhi tha
kahin KHwab
kahin KHwabon ka surat-gar bhi tha
hum aur tum jise na jaan sake
us ke KHwabon ko na pahchan sake
Nazm
Athar-nafis ke liye
Noor Parkar