main jis jagah hun wahan zindagi muamma hai
abhi to nauha abhi dil-nawaz naghma hai
abhi hayat abhi maut abhi sukun abhi gham
ye aspatal ki duniya ajib duniya hai
har ek nurse ke lab par hansi sikhai hui
jo doctor hai wo apne tain masiha hai
bayan-e-shauq ki subhen na arz-e-haal ki sham
baDi udas si rahti hai aspatal ki sham
sawera aae to dil mein dabi dabi ummid
phir us ke baad wahi gham wahi malal ki sham
main chahta hun yahan bhi hamesha aati rahen
ummid-e-shauq ki subhen hasin KHayal ki sham
jo hon mariz unhen rahat dikhai dene lage
har aspatal mein jannat dikhai dene lage
Nazm
Aspatal
Salam Machhli shahri