tamam shab ki dukhan, be-kali, subuk KHwabi
numud-e-subh ko darman samajh ke kaTi hai
ragon mein dauDte phirte lahu ki har aahaT
ajal-girafta KHayalon ko aas deti hai
magar wo aankh jo sab dekhti hai
hansti hai
ufuq se subh ki pahli kiran ubharti hai
tamam raat ki fariyaad ek sukut mein chup
tamam shab ki dukhan, be-kali, subuk-KHwabi
hariri pardon ki KHamosh silwaTon mein gum
jo aankh zinda thi
KHamosh chhat ko takti hai
aur ek aankh jo sab dekhti hai
hansi
numud-e-subh ki zartar raushni ke sath
mahakte phul dariche se jhank kar dekhen
tu mez dar pe kisi dard ka nishan na mile
ugaldan dawaon ki shishiyan pankha
kunwari man ka tabassum, salib aawezan
har ek chiz ba-dastur apni apni jagah
nae mariz ki aamad ka intizar kare
aur ek aankh jo sab dekhti hai
hansti rahe
Nazm
Aspatal ka kamra
Mahmood Ayaz