ja rahi hun main
kar rahi hun tumhaara ghar tumhaare hawale
KHali ho jaegi har wo jagah
jo mere ashkon se bhari hai abhi
le jaungi har ashk apne sath sameT kar
kuchh gamlon ke phul pe
os se chamak rahe honge
kuchh saj-dhaj ke baiThe honge dahliz pe
zard the jo kuchh jaane uD ke kahan gire honge
kuchh miTTi ke andar bij ban kar gire the
ab wo kya ban ke uge honge
mere honTon se lipTe the jo
ab bhi Tange honge wahan tale ban kar
kuchh tumhaare kandhe tak pahunch pane ki
jidd-o-jahd mein jujh rahe honge
kuchh puja-ghar ke diye ke sath jal rahe honge
kuchh kitabon ke dhule hue shabdon ki
siyahi se ja mile honge
kuchh dhaar ban kar mere kanon se guzre honge
pichhe se baalon mein ja chhupe honge
kuchh takiye ki narm rui ne chus liye honge
rasoi ghar ki bhap mein to kuchh
bartanon mein saDe paDe honge
kuchh masum sahme hue chhup ke baiThe honge
kuchh be-fikr haqiqat se Tahal rahe honge
kuchh buDhe ashk nae janmon ko aasra de rahe honge
kuchh tumhaari KHidmat se thake
zamin pe so rahe honge
tapan se janme kuchh DhunDh rahe honge ThanDak si
kuchh diwar pe lagi hamari taswir tak rahe honge
baghi se kuchh tumhein chhoDne ki zid pe aDe honge
kuchh teri ek nazar ki pyas liye
nazar-andaz khaDe honge
kuchh zehn mein honge mere jo bahna nahin jaante
kuchh hai aise jinhen Thaharna nahin aata
unhin piya hai jiya hai main ne
qiston mein mile the mujhe
ek sath kaise le jaungi
aangan bah jaega tumhaara
raste bhi ye baha denge
par mere apne hai ye yaqin hai mujhe
mere aaKHiri maqam tak pahuncha denge
Nazm
Ashk mere apne
darshika wasani