purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
husain-abaad sara
taziya-daron ki basti thi
moharram ke dinon mein sham hote hi
husain-abaad ke mard-o-zan kale libason mein
aza-KHanon ke dalanon mein
shab bhar marsiya paDhte
saf-e-matam bichhate aur apni chhatiyon ko lal kar lete
nauwin ki shab wo sab apne gharon se aag late
aur dahakti aag ki chaaron taraf inTen bichha dete
hazaron aankhen mushtaqana ek jaanib ko uTh jatin
faza mein gunj si hoti
koi nara lagata aur husain-ibn-e-ali ka nam le kar
aag ki inTon pe yun chalta hua aata
ki jaise farsh-e-gul ho ya koi sabze ki chadar ho
wo phir nara lagata dauDta bijli ki tezi se
muqaddas aayaton wala alam hathon mein le leta
kamar se apni kas leta
hazaron log us ke gard halqa bandh lete
aur use kashf-o-karamat ka KHazina jaan kar
apne dilon ka muddaa kahte
wo paiham aag ki inTon pe yunhi nachta rahta
muradon minnaton ka majra sunta
magar jab aag ki inTon ki surKHi mand ho jati
to sare log halqa toD dete aur muqaddas aayaton wala alam
is shaKHs ke hathon se le lete
aza-KHanon ke dalanon mein wapas lauT kar aate
saf-e-matam bichhate
aur apni chhatiyon ko lal kar lete
Nazm
Ashab-e-girya
Zubair Rizvi