teri narm lahron pe rakkhe diye
apne baqi ke hamrah gum ho chuke hain
duaon, tamannaon, KHwabon ka mausam
aziyyat ke kichaD mein luthDa paDa hai
KHaton ke lifafe
huruf o mani ke rangon se
KHali paDe hain
kinaron se Dali gai
daraKHt ki surKH-ru sazishi pattiyan
raston ke nishan kho chuki hain
magar
agle din ke hasin KHwab
arize ki Dali
abhi tak kahin kanpti hai
Nazm
Arize ki Dali
Sarwat Zehra