arabchi so gaya hai
tulani faslon ki
thakan se maghlub ho gaya hai
KHabar nahin hai use kahan hai
bas ek lambe kaTe-phaTe
na-tarash raste pe chobi gaDi
azal se yunhi
abad ki jaanib rawan-dawan hai
zara se jhaTke se
charcharaati hai jab
to bosidgi ki lakhon tahon mein lipTa
har ek zi-ruh chaunkta hai
arabchi KHwab dekhta hai
wo shah-zadi ka hath thame
sunahri rath mein sawar ho kar
ajab jahanon mein shubh zamanon mein
kho gaya hai
arabchi so gaya hai!
Nazm
Arabchi so gaya hai
Naseer Ahmad Nasir