aqlima
jo habil ki qabil ki man-jai hai
man-jai
magar muKHtalif
muKHtalif bich mein ranon ke
aur pistanon ke ubhaaron mein
aur apne peT ke andar
apni kokh mein
in sab ki qismat kyun hai
ek farba bheD ke bachche ki qurbani
wo apne badan ki qaidi
tapti hui dhup mein jalte
Tile par khaDi hui hai
patthar par naqsh bani hai
us naqsh ko ghaur se dekho
lambi ranon se upar
ubhre pistanon se upar
pechida kokh se upar
aqlima ka sar bhi hai
allah kabhi aqlima se bhi kalam kare
aur kuchh puchhe
Nazm
Aqlima
Fahmida Riaz