اردو हिंदी
April bahaar ka istiqbaal karta hai | Shaahi Shayari
april bahaar ka istiqbaal karta hai

Nazm

April bahaar ka istiqbaal karta hai

Naina Adil

;

farogh-e-shadabi-e-chaman ko mahakti miTTi se phuT nikla hai narm sabza
haris-e-taKHliq nam zamin ne gulon se daman udas belon ke bhar diye hain

ajib rut hai! ki buDhi shaKHon mein sans leta hai sabz jauban
KHayalon, KHwabon ki rahguzar par chaTak rahi hain hazar kaliyan

nigah-e-dil ke gazida goshe rahin-e-nikhat
faza ki poron mein jag uTThi hai bhini KHushbu, hawa ke hathon mein raushni ke jaDaw kangan

hawa ke pairon mein raqs karne lage hain ghungru
parinde rangin sham oDhe shafaq ki surKHi se khelte hain

damakte pani mein ghusl karte hain chand tare
nahati kaliyon ki be-libasi ko kitni hairat se dekhta hai

nafis patton ki shaal oDhe ghanera jangal
gulab ke surKH pairahan par, safed phulon ki pattiyon par!

samaat-e-shab mein sabt karti hai os yun jal-tarang naghme
ki git wo jo azal se be-kal faza mein gum the

utarne lagte hain dhaDkanon ki hasin lai par, mohabbaton ke amin ban kar
milan ki aisi sabih rut mein husn deta aap dastak

tumhaare dar par