mere fankar
mujhe KHub tarasha tu ne
aankh nilam ki
badan chandi ka
yaqut ke lab
ye tere
zauq-e-talab ke bhi hain
mear ajab
paon mein mere
ye pazeb
saja di tu ne
nuqrai tar mein aawaz munDha di tu ne
ye jawahar se jaDi
qimti murat meri
apne saman-e-tayyush mein laga di tu ne
main ne mana
ki hasin hai tera shahkar
magar
tere shahkar mein
mujh jaisi koi baat nahin
tujh ko nilam si
nazar aati hain aankhen meri
dard ke in mein samundar
nahin dekhe tu ne
tu ne
jab ki
lab o ruKHsar ki KHattati ki
jo waraq likkhe the
dil par
nahin dekhe tu ne
mere fankar
tere zauq
tere fan ka kamal
mere pindar ki qimat
na chuka paega
tu ne but ya to tarashe
ya tarashe hain KHuda
tu bhala kya meri taswir
bana paega
tere auraq se
ye shakl miTani hogi
apni taswir
mujhe aap banani hogi
hosh bhi
jurat-e-guftar bhi
binai bhi
jurat-e-ishq bhi hai
zabt ki ranai bhi
jitne jauhar hain numu ke
meri tamir mein hain
dekh ye rang
jo taza meri taswir mein hain
Nazm
Apni taswir mujhe aap banani hogi
Naseem Syed