bahut guman hai apne wajud ka mujh ko
magar koi bhi haqiqat ayan nahin mujh par
KHizan-rasida kisi barg-e-na-tawan ki tarah
guman ye ki safar mere iKHtiyar mein hai
mujhe to ye bhi nahin ilm kya hai meri zat
main jis ko DhunDh raha hun wo kaun hai kya hai
wo chahta hai use DhunDh lun agar main bhi
koi nishan koi raushni to lazim hai
to is haqiqat-e-maKHfi ko jaanne ke liye
chalo KHuda se koi baat kar ke dekhte hain
agar ye parda-nashini hi baqi rakhni hai
agar talash ka ye imtihan jari hai
to mere dida-e-shab ke sukun ki KHatir
ata kare koi hikmat koi hunar aisa
ki jab main jagun
to ashab-e-kahf ki manind
na koi parda na ibham ho mere aage
wo waqt aae ki mujh se wo zat khul jae
mere nasib se ek aagahi ka daur mile
mere wajud se ye kaenat khul jae
chalo usi se pata us ka puchh lete hain
chalo KHuda se koi baat kar ke dekhte hain
Nazm
Apni talash mein nikle
Saeed Naqvi