gae barson ek hasil kya!
faqat ek mom-batti tin-sau-painsaTh dinon mein
cake ke zine pe chaDhti hai
zara si phunk par ham-rahiyon ke sath bujhti hai
dhuan chakra ke roshan-dan se bahar nikalta hai
chhuri ki dhaar se kitne baras kaTun!
hawa ka aashna chehra meri aankhon mein rahta hai
gae lamhon ko dohraati hawa tarz-e-mohabbat hai
wo aae to nae lamhon ki rassi tham kar chal dun
kahin andar ruki phunken labon tak aaen
to ye battiyan gul hon
abhi kal ke dariche khul nahin pae
manazir dhund mein hain
aansuon se dhul nahin pae
Nazm
Apni sal-girah par
Tabish Kamal