mere ghar ke samne
raat ki gaDi ka ek pahiya nikal gaya
mera beTa us pahiye se khelta hai
gaDi ko lene koi nahin aaya
us din se mere ghar mein
aKHbar nahin aaya
dudh nahin aaya
parinda nahin aaya
us din ke baad
main ne apni nazm mein koi shikar nahin khela
main apni nazm ke andar KHamosh ho gaya
aur meri nazm aahista aahista mere liye pinjra ban gai
raat ki gaDi ko lene koi nahin aaya
unhon ne jaan-bujh ke aisa kiya hai
wo mere dil mein bachi-khuchi chizon ko shikar karna chahte hain
shayad wo naqsha churana chahte hain
kuchh log raat ki gaDi se niche utre
mere anaj ke kamre aur meri nazmon ki talashi li
apni hifazat ke liye
kuchh hathiyar main ne in nazmon mein chhupa rakkhe the
ab mere pas chand Dare hue lafzon aur chhan-bure ke siwa kuchh nahin
unhon ne mere beTe ki kitaben chhin lin
aur apni likhi hui kitaben de din
aur kaha hum tumhaare hi ghar mein
tumhaari nazmon ke liye ek muKHbir tayyar karna chahte hain
raat ki gaDi ka pahiya mujhe apne sine mein utarta hua mahsus hua
mere ghar ki har shai pahiye mein badal gai
hatta ki meri baaten bhi pahiya ban gain
aur phir ye pahiya meri tariKH ban jaega
is tariKH se bahut sare bachche paida honge
wo raat ki is gaDi ko khinchenge
lekin us waqt tak raat
apni jaDen chhoD chuki hogi
Nazm
Apni raat lai jao
Asghar Nadeem Sayed