ai sham-e-'josh' o mashal-e-aiwan-e-arzu
ai mehr-e-naz o mah-e-shabistan-e-arzu
ai jaan-e-dard-mandi o iman-e-arzu
ai sham-e-tur o yusuf-e-kanan-e-arzu
zarre ko aaftab to kanTe ko phul kar
ai ruh-e-sher sajda-e-shair qubul kar
dariya ka moD naghma-e-shirin ka zer-o-bam
chadar shab-e-nujum ki shabnam ka raKHt-e-nam
titli ka naz-e-raqs ghazala ka husn-e-ram
moti ki aab gul ki mahak mah-e-nau ka KHam
in sab ke imtizaj se paida hui hai tu
kitne hasin ufuq se huwaida hui hai tu
hota hai mah-washon ka wo aalam tere huzur
jaise charagh-e-murda sar-e-bazm-e-sham-e-tur
aa kar teri janab mein ai kar-saz-e-nur
palkon mein munh chhupate hain jhenpe hue ghurur
aati hai ek lahr si chehron par aah ki
aankhon mein chhuT jati hain nabzen nigah ki
raftar hai ki chandni raaton mein mauj-e-gang
ya bhairwin ki pichhle pahar qalb mein umang
ye kakulon ki tab hai ye aarizon ka rang
jis tarah jhuTpuTe mein shab-o-roz ki tarang
ru-e-mubin na gesu-e-sumbul-qawam hai
wo barhaman ki subh ye saqi ki sham hai
aawaz mein ye ras ye latafat ye iztirar
jaise subuk mahin rawan reshmi phuwar
lahje mein ye khaTak hai ki hai neshtar ki dhaar
aur gir raha hai dhaar se shabnam ka aabshaar
chahki jo tu chaman mein hawaen mahak gain
gul-barg-e-tar se os ki bunden Tapak gain
jadu hai teri saut ka gul par hazar par
jaise nasim-e-subh ki ru ju-e-bar par
naKHun kisi nigar ka chandi ke tar par
mizrab-e-aks-e-qaus rag-e-abshaar par
maujen saba ki bagh pe sahba chhiDak gain
jumbish hui labon ko to kaliyan chaTak gain
chashm-e-siyah mein wo talatum hai nur ka
jaise sharab-e-nab mein jauhar surur ka
ya chahchahon ke waqt tamawwuj tuyur ka
bandhe hue nishana koi jaise dur ka
har mauj-e-rag-e-qamat-e-gul-rez ram mein hai
goya sharab-e-tund bilorin qalam mein hai
tujh se nazar milae ye kis ki bhala majal
tere qadam ka naqsh hasinon ke KHadd-o-KHal
allah re tere husn-e-malak-soz ka jalal
jab dekhti hain KHuld se huren tera jamal
partaw se tere chehra-e-parwin sarisht ke
ghabra ke band karti hain ghurfe bahisht ke
chehre ko rang-o-nur ka tufan kiye hue
sham-o-sharab-o-sher ka unwan kiye hue
har naqsh-e-pa ko taj-e-gulistan kiye hue
sau tur ek nigah mein pinhan kiye hue
aati hai tu chaman mein jab is tarz-o-taur se
gul dekhte hain bagh mein bulbul ko ghaur se
mere bayan mein sehr-bayani tujhi se hai
ru-e-suKHan pe KHun-e-jawani tujhi se hai
lafzon mein raqs-o-rang-o-rawani tujhi se hai
faqr-e-gada mein farr-e-kiyani tujhi se hai
fidwi ke is uruj pe karti hai ghaur kya
teri hi jutiyon ka tasadduq hai aur kya
ai kirdgar mani-e-KHallaq sher-e-tar
ai jaan-e-zauq o muhsina-e-laili-e-hunar
khul jae gar ye baat ki urdu zaban par
teri nigah-e-naz ka ehsan hai kis qadar
chaaron taraf se nara-e-salle-ala uThe
tere mujassamon se zamin jagmaga uThe
mere hunar mein sarf hui hai teri nazar
KHema hai mere nam ka baala-e-bahr-o-bar
shohrat ki bazm tujh se munawwar nahin magar
farq-e-gada pe taj hai sultan barahna-sar
parwane ko wo kaun hai jo manta nahin
aur shama kis taraf hai koi jaanta nahin
dil teri bazm-e-naz mein jab se hai baryab
har KHar ek gul hai to har zarra aaftab
ek lashkar-e-nashat hai har gham ke ham-rikab
zer-e-nagin hai aalam-e-tamkin-o-iztirab
baad-e-murad o chashmak-e-tufan liye hue
hun bu-e-zulf-o-jumbish-e-mizhgan liye hue
tere labon se chashma-e-haiwan mera kalam
teri laTon se mauja-e-tufan mera kalam
teri nazar se tur-e-ba-daman mera kalam
tere suKHan se naghma-e-yazdan mera kalam
tu hai payam-e-alam-e-baala mere liye
ek wahi-e-zi-hayat hai goya mere liye
ai mah-e-sher-parwar o mehr-e-suKHan-wari
ai aab-o-rang-e-'hafiz' o ai husn-e-'anwari'
tu ne hi sabt ki hai ba-sad naz-dawari
mere suKHan ki pusht pe mohr-e-payambari
teri shamim-e-zulf ki daulat liye hue
mera nafas hai bu-e-risalat liye hue
dur-ha-e-ab-dar o sharar-ha-e-dil-nashin
shab-ha-e-talKH-o-tursh o sahar-ha-e-shakkarin
aql-e-nashat-KHez o junun-e-gham-afrin
daulat wo kaun hai jo meri jeb mein nahin
Takrai jab bhi mujh se KHajil sarwari hui
yun hai tere faqir ki jholi bhari hui
naghme pale hain daulat-e-guftar se teri
paya hai nutq chashm-e-suKHan-bar se teri
taqat hai dil mein nargis-e-bimar se teri
kya kya mila hai 'josh' ko sarkar se teri
banke KHayal hain KHam-e-gardan liye hue
har sher ki kalai hai kangan liye hue
ai laili-e-nahufta o ai husn-e-sharmagin
tujh par nisar daulat-e-duniya mata-e-din
mansub mujh se hai jo ba-andaz-e-dil-nashin
teri wo shairi hai meri shairi nahin
aawaza charKH par hai jo is dard-mand ka
goya wo aks hai tere qadd-e-buland ka
mere bayan mein ye jo wafur-e-surur hai
taq-e-suKHan-wari mein jo ye sham-e-tur hai
ye jo mere charagh ki zau dur dur hai
sarkar hi ki mauj-e-tabassum ka nur hai
sheron mein karwaTen ye nahin soz-o-saz ki
lahren hain ye huzur ki zulf-e-daraaz ki
mujh rind-husn-kar ki mai-KHwariyan na puchh
is KHwab-e-jaan-faroz ki bedariyan na puchh
karti hai kyun sharab KHirad-bariyan na puchh
be-hoshiyon mein kyun hai ye hoshyariyan na puchh
pita hun wo jo zulf ki rangin ghaTaon mein
khinchti hai un ghani hui palkon ki chhanw mein
hoshyar is liye hun ki mai-KHwar hun tera
sayyaad-e-sher hun ki giraftar hun tera
lahja malih hai ki namak-KHwar hun tera
sehhat zaban mein hai ki bimar hun tera
tere karam se sher-o-adab ka imam hun
shahon pe KHanda-zan hun ki tera ghulam hun
main wo hun jis ke gham ne tere dil mein rah ki
ek umr jis ke ishq mein KHud tu ne aah ki
soya hai shauq sej pe teri nigah ki
raaten kaTi hain sae mein chashm-e-siyah ki
kyun kar na shaKH-e-gul ki lachak ho bayan mein
teri kamar ka loch hai meri zaban mein
tarshe hue labon ke bahakte KHitab se
zartar kakulon ke mahakte sahab se
sarshaar ankhDiyon ke dahakte shabab se
mauj-e-nafs ke itr se mukhDe ki aab se
barah baras tapa ke zamana suhag ka
sincha hai tu ne bagh mere dil ki aag ka
garmi se jis ki barf ka dewta Dare wo aag
shoalon mein os ko jo mubaddal kare wo aag
lau se jo zamharir ka daman bhare wo aag
had hai jo nam nar-e-saqar par dhare wo aag
jis ki lapaT gale mein jalati hai rag ko
pala hai qalb-e-naz mein tu ne us aag ko
Nazm
Apni malka-e-suKHan se
Josh Malihabadi