agar tumhein kari kah kar qatl karden
mar jaana pyar zarur karna
sharafat ke show-case mein
naqab Dal kar mat baiThna pyar zarur karna
pyasi KHwahishon ke regzar mein
babul ban kar mat rahna pyar zarur karna
agar kisi ki yaad haule haule
tumhaare dil mein aati hai
to muskura dena pyar zarur karna
wo kya karenge bas sangsar hi to karenge tum ko
tum apne jiwan-pal ka lutf uThana pyar zarur karna
tumhaare pyar ko gunah bhi kaha jaega
to kya hua saha jaana
pyar zarur karna
pyar ki sarhaden
pyar to mujh se be-shak karte ho
roTi kapDa aur makan dene ka wada kiya hai
is ke badle mera jiwan girwi rakh liya hai
ghar ki bahisht mein mujhe bilkul aazad chhoD rakkha hai
bas usi taraf jaane ki mumanat hai
jahan shuur ke daraKHt mein
soch ka phal lagta hai
rose ubharta suraj mujhe
qadam baDhane par uksata hai
aaj ye phal khaya hai to aape se bahar ho gai hun
soch ne khol Dalin sari khiDkiyan zehn ki
tumhaari bahisht mein mera dam ghuTne laga hai
main faisle karne ki aazadi chahti hun
soch ke mewe ne itni taqat de di
Nazm
Apni beTi ke nam
Ateeya Daud