اردو हिंदी
Apne tamashe ka ticket | Shaahi Shayari
apne tamashe ka ticket

Nazm

Apne tamashe ka ticket

Shariq Kaifi

;

ye KHwahish to
hamare shahr ke chiDiya-gharon ke sher bhi shayad nahin karte

ki sathi sher un ko dekhne aaen
ticket le kar tamashe ki tarah

tamasha ban ke ye jine ki majburi
kahin sharmindagi ki shakl mein munh par chhapi rahti hain un ke

magar insan?
us ka bas nahin chalta

ki sar ke bal khaDe ho kar tawajjoh khinch le sab ki
wahi insan

jo KHud ko ashraf-o-afzal samajhta hai
agar mumkin ho to

apne tamashe ke ticket
KHud apne hathon dusron ko bech sakta hai