safed kabutaron se aaj sara aakash KHali hai
dhup Dari hui faKHta si lagti hai
munDeron pe baiThi hui zard hai
kanp kanp uThti hai hawa aadmi ki tarah
curfew se bhare hue shahr ki saDkon pe ghoDon ki wahshi Tapen
aag uDati hain
makan jalte hain mere tumhaare
indar hamare dhuan dhuan sa kuchh rah rah uThta hai
daur mein aur pas mein bhi zoron ke dhamake hote hain
goliyan tabaD-toD sansanati hain
haDDiyon mein utri jati hain
din lahu KHak mein lipTa hua guzarta hai
sham bhi lahuluhan chhipkili ki tarah sahmi hui chup-chap udas udas
dhire se nadi mein Dubti hai
phir siyah hote hue peDon pe Dher sare gidh
apni puri taqat se apne par phaDphaDate hain
sannaTa kaenat mein aur bhi gahraata hai
kuchh dhuan dhuan sa andar andar mere tumhaare or bhi baDh jata hai
Nazm
Apne shahr mein fasad
Akhtar Yusuf