use dukh ke sath byaha gaya
ki jab aankh khuli to sar par suraj jalti nand mein dhul
ise dhup ke sath byaha gaya
ki jo sham paDe se din guzre tak soti thi
use nind ke sath byaha gaya
ki jo aaj ke KHwab se kal ke KHwab ka sauda karti thi
use byah ke sath byaha gaya
ki jo kashT uThati dhup mein baiThi sae se baaten karti thi
use sae ke sath byaha gaya
mallahon ne us ki aankhon ki tarif nahin ki
bachche us ko dekh ke ruke nahin
laDkiyan us ke libas pe chaunkin nahin
use yun dafnaya jaise machhliyan jal se jal mein Dalte hain
use yun nahlaya jaise barish aabi paudon ko nahla kar KHush hoti hai
use sham ke sath widaa kiya
jab chand ghane baadal mein chhupta phirta tha
aur aankhen chunne wali machhliyan chuni gai thin
aur naw ne naw ke sath gunah kiya tha
miTTi pani ke beTe ye sab kuchh dekh chuke hote to dahshat se pahle mar jate
ye dariya din se darwaze par ruka hua hai
din jo aagahi hai
subh ko bistar tah karne
dhup mein toshak phailane
kapDe bistar-band sukhane
raat ki batti gul karne
zanjir hila kar dekhne ki aagahi
ye dariya din se darwaze par ruka hua hai
ye dariya raat ko andar dar aaega
raat ajab pachhtawa hai
apne dusre ki pahchan ka
din ko ghar aane
ek nasl ka qarz utarne
kanTe chubh kar mar jaane ka pachhtawa
ye raat ye din kya tabaD-toD guzarte hain
jab upar pani chalta hai
aur niche miTTi soti hai
aur koi man mein pukarta hai
maula mujh ko baadal kar de
aur ek pichhli raat achanak chiKH kisi ko aa leti hai
aur ghar ka ghar uTh jata hai
aur din ke bahlawe mein raat bitai jati hai
is mausam pani aage aaega tum ghar mein mat sona
jab chhat ki khachchi jhuk jae
aur pani chhal-chhal dikhta ho
tab bahar sona achchha rahta hai
phir mausam apne mausam ho jate hain
aur rut kannya pazeb utar ke phenkti hai
phir koi kisi se ye nahin kahta
maula mujh ko baadal kar de
ya soti miTTi
ya chalta pani
phir koi kisi se kuchh nahin kahta
phir sab apni sunte hain
phir baadal barish raat zamin sab ek chadar mein sote hain
aur ek chadar mein chalte hain
aur hote hain aur nahin hote hain
aur lafz ka wahid sarmaya KHamoshi hai
aur jo lafz nahin sunte hain KHamoshi bhi nahin sunte hain
jab pahlu-dar sutun se Tek lagae laDki soti hai
aur hauz ke pas khaDe shahzade
aur un ki bandiyan
aur sara shahr
is aan kahin chupke se un mein ho jaana
aur nahin kahna main aaya hun
achchha hai
aagahi aur pachhtawe aur aisi maut se jo yaksar na-malum mein hai
Nazm
Apne nam ek nazm
Mohammad Anvar Khalid