اردو हिंदी
Apne liye ek nauha | Shaahi Shayari
apne liye ek nauha

Nazm

Apne liye ek nauha

Anwar Sen Roy

;

achchhi tarah dekh chuka hun
main maqtulon mein nahin

is liye mera shumar qatilon mein kiya jaana chahiye
ye ibaadat-gahen jis ka ghar kahi jati hain

meri ek dost
use talash kar rahi hai

use ab tak ye ittilaa nahin mili
ki wo ek lambe safar par ja chuka hai

wo mar chuka hai
ye raaz to ek pagal ne bhi jaan liya tha

raat to kya
use DhunDne ke liye

din mein bhi
kisi ki koi madad nahin kar sakte

charag
tumhaare pas search-lighten hain

to unhen laga kar dekh lo
shah-ragon ke aas-pas

tez-rau KHush-fahmiyon par sawar
kahan kahan jaoge

ek murde ke ghar mein
dawat par jaane walon ki mezbani

maut nahin karegi to kaun karega