main taDapta hun
main bahut taDapta hun
ki wahan lauT jaun jahan se meri umr shurua hui thi
jahan mere din raat meri miTTi ki mahak se mahakte the
zamin bhar ki dhup mein se mere hisse ki dhup
mere rome rome ko senkti thi
sitaron bhare aasman mein se mere nam ka sitara
badan ki agni ban ke mere hisse ki dulhan ko
nadi ke pani se bani hui sej pe utarta tha
aur an-dekhi tah mein tairti machhliyon ki sans ko sangit kar deta tha
raat mein chhupe hue din ko
aur din mein chhupi hui raat ko
ek dusre ke pas la ke KHud kahin chhup jata tha
phir jhag se jhag nikalta tha
aur jhag se an-ginat murtiyan banti thin
tab unhen pujne ki tijarat ijad nahin hui thi
tab aag hari ghas ko nahin jalati thi
siwae is ke ki panw par rengti hui chyunTi hath ki pakaD mein aa jati thi
kaenat bhar ki bhuk aur pyas ki
sinchai karte hue kisan aur khudai karte hue mazdur
abhi khet aur fasl aur kachche pakke ghar aur diwaron aur jiwan maran
aur shamshan bhum aur qabron se pahchane to jate the
abhi bazaron mein ghumte phirte nange pagalon
aur un ke hisse ki galiyon aur pattharon ki pahchan se zindagi ki pahchan to hoti thi
abhi raat ke safar mein kisi an-dekhe jahan se
meri duniya ke jangalon mein utarte jugnuon ke jhunD chahak chahak ke
sudhaari hui ruhon ka ata pata batate the
afsos ab main wahan lauTna chahun bhi
to KHud par itna guzar chuka hun ki lauT nahin sakta
Nazm
Apne jaise aashiqon ke nam
Ahmad Hamesh