apne dil mein Dar ho to ye baadal kis ko lubha sakte hain
apne dil mein Dar ho to sab ruten Daraoni lagti hain aur apni taraf hi gardan
jhuk jati hai
ye to apna hausla tha
itne andeshon mein bhi
nazren apni jaanib nahin uThin aur is ghanghor ghane kohre mein ja Dubi hain
aur ab meri sari duniya is kohre mein nahai hui haryawal ka hissa hai
meri KHushiyan bhi aur Dar bhi
aur isi raste par main ne lohe ke halqon mein
ek qaidi ko dekha
aahan chehra sipahi ki jarsi ka rag us qaidi ke ruKH par tha
har andesha to ek kunDi hai jo dil ko apni jaanib khinch ke rakhti hai aur wo qaidi bhi
khicha hua tha apne dil ke KHauf ki jaanib jis ki koi rut nahin hoti
main bhi apne andeshon ka qaidi hun lekin us qaidi ke andeshe to
ek mere siwa sab ke hain
ek wahi apne apne dukh ki kunDi
jis ke khichao se ek ek gardan apni jaanib jhuki hui hai
aise mein ab kaun ghaTaon bhari us subh-e-bahaaran ko dekhega
jo in bor lade andeshon par yun jhuki hui hai aamon ke baghon mein
meri ruh ke samne
Nazm
Apne dil mein Dar
Majeed Amjad