ai mere sinn-o-sal ke hasil
mere aangan ke nau-damida gulab
mere masum KHwab ke ham-shakl
meri maryam ke saya-e-shadab
subh-e-taKHliq ka salam tujhe
zindagi tujh ko kahti hai aadab
ai muqaddas zamin ke shoala-e-nau
tu farozan ho un fazaon mein
mere sine ki jo amanat hain
jo meri na-rasa duaon mein
is tarah muskuraati hai jaise
naghmagi dur ki sadaon mein
mujh ko ajdad se wirasat mein
wo KHarabe mile ki jin mein raha
umr bhar paemal o KHak-basar
mera hissa raha gham-e-farda
mujh ko mere lahu mein nahla kar
jis ne qaid-e-hayat mein rakkha
ai meri ruh-e-fan ke aks-e-jamil
tujh ko meri si zindagi na mile
jo na main ho saka wo to ho jae
kash tu mera ja-nashin na bane
main tasawwur mein bhi jahan na gaya
un dayaron mein tera nam chale
Nazm
Apne bachche ke nam
Khalilur Rahman Azmi