aaj-kal aksar aisa pata hun
apne ashaar bhul jata hun
kya bahr thi wo kya tarannum tha
ashk tha koi ya tabassum tha
kaifiyat kya thi aur kya ehsas
jin se hota tha KHudi ka ehsas
jin ko main jawedan samajhta tha
apne donon-jahan samajhta tha
ab wahi sher bhul jata hon
aaj-kal aksar aisa pata hun
aisa kyun ho gaya agar sochun
koi wajib wajh agar khojun
aisa mahsus hone lagta hai
sher KHud ko wo yaad rahta hai
jo kisi aur ko bhi yaad rahe
honTh pe na ho magar dil mein base
aisa mumkin to hai magar bas tab
kisi lamhe main KHud ko bhul ke jab
KHud ko dariya-dili se banTa ho
mera main aur kisi ka hissa ho
yun kiya hi nahin to kya fariyaad
apni hi qaid mein raha aabaad
fikr ki asli baat ye hai magar
in dinon yun bhi hua hai aksar
sher auron ke bhul jata hun
kya main pahle ki tarah zinda hun
Nazm
Apne ashaar bhul jata hun
Ashok Lal