nai saDkon ke naqshe kar-KHane
unche unche pul mere mansube dekho aur kitabon mein paDho
us ne kaha mere badan par hath bhi phero
magar suraKH se ungli alag rakkho
magar us ke badan par har taraf suraKH hi suraKH hain
ungli alag rakkho!
to kya main ungliyon ko toD dun?
main ungliyon ko toD dun?
phir kaun tere husn ki tafsir likkhega? bata!
phir ye tasalsul raat din ka
chand suraj ka akele mausamon ka
masalon aur mushkilon ka
kaise TuTega? bata!
us ne hamein ek dusre se chhup ke rahne ke liye
kapDe diye aur KHubsurat ghar diye
aur band kamron mein zaminon aasmanon ki sabhi sachchaiyan kahne aur un
par bahs karne aur mansube banane ki khuli aazadi di
yaro! chalo saDkon pe nange sair karne jaen
shayad rasm chal nikle
magar mere qabile ka koi bhi mard
kapDe phaD kar ghar ko jala ke
nangi nangi baaten kahne ke liye bahar na nikla
sab ko apne apne suraKHon ka Dar tha
Nazm
Apne apne suraKHon ka Dar
Abbas Athar