ye shahr apna
ajab shahr hai ki
raaton mein
saDak pe chaliye to
sargoshiyan si karta hai
wo la ke zaKHm dikhata hai
raaz-e-dil ki tarah
dariche band
gul chup
niDhaal diwaren
kiwaD mohr-ba-lab
gharon mein mayyaten Thahri hui hain barson se
kirae par

Nazm
Apna shahr
Makhdoom Mohiuddin