اردو हिंदी
Apna saya | Shaahi Shayari
apna saya

Nazm

Apna saya

Robeena Faisal

;

jismon ke kho jaane
aur ruon ke badalne ke karb ne mujhe tamam-umr

andesha-e-ziyaa mein hi mubtala rakha
kal ke din ne mujh mein base sab KHauf mar diye

chehre se naqab utra to sachchai sina tane mere samne aa khaDi hui
KHud se bichhDi hui thi ab KHud se aa mili hun

mera saya mujh mein nau phaTa ho kar jag gaya hai aur
wo mera hath thame baiTha hai

ab wahi mor-pankh wahi jhil wahi murghabi ke bachche
aKHroT khati gilahri aur rang bikherti titli

mera saya
yahi sab murda manazir ko mere andar hanut kar ke baiTh gaya hai

ab apne hi sae ki panah mein hun
jis ke na badalne ka Dar na bichhaDne ka wahm

ek sa bas mujh mein hi rahega
mera hi rahega

is liye
ab tanhai se Dar nahin lagta

ab judai se Dar nahin lagta
ab main apni panah mein hun