tu hai ek tanbe ka thaal
jo suraj ki garmi mein sara sal tape
koi halka nila baadal jab us par bunden barsae
ek chhanaka ho aur bunden baadal ko uD jaen
tanba jalta rahe
wo hai ek bijli ka tar
jis ke andar tez aur aatishnak ek barqi-rau dauDe
jo bhi us ke pas se guzre
us ki jaanib khinchta jae
us ke sath chimaT ke maut ke jhule jhule
barqi-rau waisi hi surat aur tezi se dauDti jae
main hon barg-e-shajar
suraj chamke main us ki kirnon ko apne rup mein dhaarun
baadal barse main us ki bunden apni rag rag mein utarun
baad chale main us ki lahron ko naghmon mein Dhaalun
aur KHizan aae to us ke munh mein apna ras Tapka kar peD se utrun
dharti mein mudgham ho jaun
dharti jab mujh ko ugle to pauda ban kar phuTun
Nazm
Apna apna rang
Ejaz Farooqi