اردو हिंदी
Antina ke neze | Shaahi Shayari
antina ke neze

Nazm

Antina ke neze

Shaheen Gazipuri

;

gum hue yun ki kabhi mere shanasa hi na the
kuchh likha hota tumhein mujh se shikayat kya hai

KHabar kab aae ho kaise sunao pyare
kya KHabar lae ho yaron ki hikayat kya hai

us ne ye kuchh na kaha
aur kaha to itna

khel dil-chasp hai nazzare karo
aur phir ek KHala

ek giran-bar KHamoshi ki aziyyat le kar
main ye kahta hua uTh aaya

ki han
khel hai dilchasp bahut