tah-dar-tah jangal ke andar
us ka ek chhoTa sa ghar tha
aur KHud jangal
shab ke kale resham ke
ek than ke andar
daba paDa tha
chur-mur si aawaz bana tha
aur shab
gore din ke
makDi-jal mein jakDi
ek kali makkhi ki surat
laTak rahi thi
main kya karta
majburi si majburi thi
main ne KHud ko
ghar chhappar mein
ulTa laTka dekh liya tha
kitni hi girhon mein jakDa
dekh liya tha
makDi jaane kahan gai thi
apni tahon ke andar shayad
phansi hui thi
main kya jaanun
Nazm
Ankabut
Wazir Agha