qadam rakhne se pahle
jaan lo ki
be-abaad jagah aaseb-zada bhi ho sakti hai
basti basane se pahle jin ki KHush-nudi lazim aati hai
base rahne ka muawza
kalabattuni pahna de
zarq chaDhawe
murassa kundani parniyan hain
ashrafi boTi wale kam-KHwab ka
sarbar bhi ada karna hota hai
warna
un ke uslub-e-hayat se inhiraf
al-aqarib al-aqrab
hasil-e-hayat rahega
aafiyat mahajani mizaj ka taqaza pura karne mein hai
warna jaan rakho
hawas ka aaseb ikati ukheD phenkne mein
tammul na karega
Nazm
Anjaane jaziron par
Shamim Alvi