dam-e-visal nigahon mein hijr ka manzar
misal-e-gardish-e-aina
aise bolta hai
ki jaise kucha-e-KHak-e-wajud ke andar
ghubar nind ka hairat ke raaz kholta hai
main jagta hun
magar shahr mere sath nahin
hawa ne baam pe rakkhe diye bujhae hain
shab-e-siyah ne
hum sab ke dil dukhae hain
main be-kanar se raste pe panw panw chala
kinara-e-mah-o-anjum ki samt kho baiTha
mere halif
mujhe ruh ki aman de kar
dua ke dasht mein mujh ko akela chhoD gae
barahnagi mere chehre ko Dhanpne aai
ulajh rahe hain mere KHwab meri aankhon se
main unghta hun
ki shayad wo din palaT aaen
ki jin ke pas amanat hai meri chaaragari
main muntazir hun ki shayad
ba-waqt-e-qurb-e-sahar
meri jabin pe ujale ka dagh ban jae
hisar-e-chashm mein
aansu charagh ban jae!
Nazm
Anis-nagi ke nam
Zahid Masood