chhupaun kyun na dil mein KHatim-e-gauhar-nigar us ki
yahi le de ke mere pas hai ek yaadgar us ki
ye tanhai mein mere lab tak aa kar muskuraati hai
aur apni malika ki tarah dil ko gudgudati hai
qalam ke sath mere hath mein har waqt rahti hai
aur us ke dast-e-rangin ke fasane mujh se kahti hai
talai ungliyon ka jab mujhe qissa sunati hai
tasawwur mein sitaron ke se paikar khinch lati hai
meri 'salma' ko is ne shad aur nashad dekha hai
gahe masrur gahe mail-e-fariyaad dekha hai
ise malum hain achchhi tarah betabiyan us ki
nahin poshida is ki aankh se be-KHwabiyan us ki
shab-e-tanhai mein is ne use bedar paya hai
aur akasr dida-e-sarshaar ko KHun-bar paya hai
ise malum hai wo kis tarah maghmum rahti thi
kisi ke gham mein lutf-e-zist se mahrum rahti thi
mera KHat paDh ke wo kis kis naz se masrur hoti thi
phir apni bebasi par kis tarah ranjur hoti thi
ye shahid hai ki us ki sham-e-gham kyunkar guzarti thi
ye shahid hai ki wo ro ro ke kyunkar subh karti thi
wo jab dil tham leti thi hujum-e-gham se ghabra kar
to ye karti thi us ki gham-gusari dil ke pas aa kar
ise malum hai jo dard tha us pak sine mein
basi hain us ke dil ki dhaDkanen is ke nagine mein
pahunchti hain shuaen is ki jis dam chashm-e-hairan tak
tasawwur mujh ko le uDta hai 'salma' ke shabistan tak
jahan 'salma' ke aur mere siwa hota nahin koi
anguThi khoi jati hai magar khota nahin koi
Nazm
AnguThi
Akhtar Shirani