unchi nichi diwaron mein ghire hue
tum itne hirasan itne tanha
pahle kab tak
jao phir se khaT pe leTo
TikTiki bandh ke is ko dekho
kitna be-bas kitna bhayanak kitna tanha
Dolta piya khoTa sikka andhi kali raat ka dhabba
tum ne is dhabbe ko ab tak peshani ki shobha samjha
aur ab KHali taran ban kar chiKH rahe ho
bolo apne honTon par koi shabd sajao
mantar japo hath uTha kar paDho duaen
chehra dho kar sidhe hath ki ungli ke yaqut mein jhanko
bolo tum ne kya dekha hai
sadiyon tum ne us ko chaha
us ki simin ungli thami chalna sikha
us ke ThanDe nurani chhitnar ke niche
ghas pe leTe
dudh bhari kirnon mein nahae
pyar bhari aankhon mein jhanka
aur ab kya hai
ek nuqta ek Dolta piya andhi kali raat ka dhabba
nasib ka paikar be-rangi ka mazhar tanha
is ko ab tum kya dekhoge
dekha bhi to
apne hi andar jhankoge
Nazm
Andhi kali raat ka dhabba
Wazir Agha