andheri shab ke sharmile moattar kan mein us ne kaha wo shaKHs
dur uftada lekin mere dil ki tarah raushan hai
jo mere panw ke talwe hatheli ke gulabi gal mein
kanTa sa chubhta hai
jo mere jism ki kheti pe barish ka chhalawa hai
wo jis ki aankh ki qatil
hawas ek muntazir lekin na zahir hone wale phul ki manind
bechaini mein rakhti hai mujhe wo
aane wala hai
magar wo shaKHs is shab bhi nahin aaya
bhala TuTi kalai se
wo sare KHwab sab wade mulaqaton ke paimane
kahan sambhlen
bhala be-nur aankhon mein wo surat
jham jhamati tund josh-e-KHun se garmi-e-lab tak tamtamati
kis tarah rukti
andheri raat ne
dekha na kuchh sunna hi chaha us ke gosh-e-nazuk aur chashm-e-siyah masum hote hain
Nazm
Andheri shab se ek la-hasil
Shamsur Rahman Faruqi