اردو हिंदी
Andheri raat ka musafir | Shaahi Shayari
andheri raat ka musafir

Nazm

Andheri raat ka musafir

Asrar-ul-Haq Majaz

;

jawani ki andheri raat hai zulmat ka tufan hai
meri rahon se nur-e-mah-o-anjum tak gurezan hai

KHuda soya hua hai ahrman mahshar-ba-daman hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

gham o hirman ki yurish hai masaib ki ghaTaen hain
junun ki fitna-KHezi husn ki KHunin adaen hain

baDi pur-zor aandhi hai baDi kafir balaen hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

faza mein maut ke tarik sae thartharaate hain
hawa ke sard jhonke qalb par KHanjar chalate hain

guzishta ishraton ke KHwab aaina dikhate hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

zamin chin-bar-jabin hai aasman taKHrib par mail
rafiqan-e-safar mein koi bismil hai koi ghael

taaqub mein luTere hain chaTanen rah mein hael
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

ufuq par zindagi ke lashkar-e-zulmat ka Dera hai
hawadis ke qayamat-KHez tufanon ne ghera hai

jahan tak dekh sakta hun andhera hi andhera hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

charagh-e-dair fanus-e-haram qindil-e-rahbani
ye sab hain muddaton se be-niyaz-e-nur-e-irfani

na naqus-e-barhaman hai na aahang-e-huda-KHwani
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

talatum-KHez dariya aag ke maidan hael hain
garajti aandhiyan biphre hue tufan hael hain

tabahi ke farishte jabr ke shaitan hael hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

faza mein shoala-afshan dew-e-istibdad ka KHanjar
siyasat ki sananen ahl-e-zar ke KHun-chakan tewar

fareb-e-be-KHudi dete hue billor ke saghar
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

badi par barish-e-lutf-o-karam neki pe taziren
jawani ke hasin KHwabon ki haibatnak tabiren

nukili tez sanginen hain KHun-asham shamshiren
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

hukumat ke mazahir jang ke pur-haul naqshe hain
kudalon ke muqabil top banduqen hain neze hain

salasil taziyane beDiyan phansi ke taKHte hain
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

ufuq par jang ka KHunin sitara jagmagata hai
har ek jhonka hawa ka maut ka paigham lata hai

ghaTa ki ghan-garaj se qalb-e-giti kanp jata hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun

fana ke aahani wahshat-asar qadmon ki aahaT hai
dhuwen ki badliyan hain goliyon ki sansanahaT hai

ajal ke qahqahe hain zalzalon ki gaDgaDahaT hai
magar main apni manzil ki taraf baDhta hi jata hun