andhera tha
andhera lal-qila jis mein ek kala hayula tha
hazaron qumqumon ki raushni thi daera-dar-daera phir bhi
andhera tha
nigal Dala tha jis ne lal qile ko ghana gaDha andhera tha
hazaron qumqumon ki raushni mein pas ki chizen hi pas-manzar
andhera jin ka pas-e-manzar
saDak par har saDak par raushni ki dauD jari thi
andhere mein ghubar-o-gard ke uDte hue zarron ko raushan kar rahe the
baham munqate karte raushni ke daere
andhera kaTti-phaTti dauDti uDti bikharti raushni ko pi raha tha
andhere ka magarmachh
andhere ke samundar mein
ujale ki chamakti machhliyon ko apne danton mein dabae tairta tha
andhere ka magarmachh lal-qile par
baDi zahrili sansen chhoDta tha
nazar aata nahin tha lal-qila
ki is ke burj kangure dar-o-diwar ek kala hayula ban gae the
hayula ban gaya tha lal-qila
magar us ke wahan hone mein koi shak nahin tha
andhera tha
andhere ke samundar ki gupha mein lal-qila tha
Nazm
Andhere mein sochne ki mashq
Ameeq Hanafi